Thursday, March 8, 2012

Shikwa ........................

Kya karu shikayat, Shikwa kya karu!
Tujhse mai haal-e-dil bayan kya karu!!
      Tune jo dard diya hai mujhe,
      Is zakhmi dil ki peeda kya kahu,
      Tune jo thana hai, mujhe hi mitana hai,
      Apne zidd ke aagey tujhe duniya jhukana hai,
      Kabhi mai hi teri subah thi, mai hi din-raat,
      Mai hi teri khushi thi, mai hi teri hansi,
      Ab in khamosh hue hothon ki jubaa kya kahu,
Kya karu shikayat, Shikwa kya karu!
      Vaada tha tera sari khushiyan mujhe doge,
      Do pag mai sath chalu, tum manzil tai kar loge,
      Beech raah mei chhor gaye tum, roti mujhe akeli,
      Ab in behte hue aansuon ki peeda kya kahu,
Kya karu shikayat, Shikwa kya karu!
      Jamane ki parwah na karoge, aisa kaha tha tumne,
      Vaada karte the ki, kabhi zuda na hoge,
      Bekaraar dil tha tumhara mere liye,
      Is bechain dil ki tadap tujhse kya kahu,
Kya karu shikayat, Shikwa kya karu!
Tujhse mai haal-e-dil bayan kya karu!!

Wednesday, March 7, 2012

Ek Kiran ............

Ek roshni ki kiran chupke se
    Meri zindagi mei aayi,
Mujhe maloom hai yeh meri nahi
    Phir bhi mai ise apnai,
Is kiran ki aas mei
  Na jane kabse mai baithi rahi
Aaj apni hokar bhi lagti hai parai.


Is chhoti si zindagi mei
    Itni hai gehrai,
Ki sath chhor deti hai
    Apni hi parchhai,
Yeh kiran na jane kab
    Sath chhor chali jaye,
Aur chha jaye charo ore
    Phir wohi tanhai,
Aye kiran khuda ke liye
    Tum na hona parai,
Warna hogi meri hi
    Is jahan mei jag hansai.