Tuesday, February 14, 2012

Jawaab.....??

Shaant, Har koi shaant,
Charon ore khamoshi, Har koi hai khamosh,
Yeh raat, Yeh pal, Aur meri zindagi,
Aur isme mera ek sawaal,
Koi de sakta hai iska jawaab?
Aakhir kyu, Yeh chand, Yeh raat,
Aur yeh pyare chamkile taare,
Aaj itne shaant kyu hain,
In khamoshi ke beech ek mera man hi toh hai,
jo shaant nahi bechain hai,
Kya mai janti hun iska jawaab?
Shayad nahi, Mai nahi janti,
Mai padesan hun apne aap se,
Ulajh gayi hun apne uljhano mei,
Kya koi nahi aayega,
Mujhe batane, Mera jawaab dene,
Koi toh hoga jo janta ho,
Par kaun hai kahan hai?
Uff!!! Phir ek sawaal,
Sirf sawaal hi toh hai mere paas,
Aur jawaan na jane kahan hai,
Aur jane kab milega,
Milega bhi ya nahi, Koi nahi janta,
Na jane kab tak mera mann,
In uljhano mei uljha rahega,
Aur yeh khamosh pal mujhe chidhata rahega,
Na jane kab milega mujhe mera jawaab??

No comments:

Post a Comment