Monday, February 27, 2012

Phir Tum Yaad Aaye ................

Aaj phir tum yaad aaye,
Phir teri baatein mujhe sataye,
Kabhi rulaye, kabhi hansaye!
Tera yeh kehna mujhe chhor ke jana,
Aur phir mujhe samjhana,
Phir yeh kehna mujhe chhor na jana,
Oh janejana phir tum yaad aaye!
Teri baatein phir mujhe hansaye!!
      Jo haseen lamhe hamne sath bitaye,
      Woh haseen pal dil mei samaye,
      Mera hath tham tera muskana,
      Aur mera dheere se sharmana,
      Phir yeh kehna Tu meri ho jana,
Oh janejana phir tum yaad aaye!
Teri baatein phir mujhe hansaye!!
      Woh meri shararat jo tujhe tadpaye,
      Aur tera chup rehna mujhe sataye,
      Mere kuchh puchhne par tera yeh kehna,
      Tu meri zindagi meri din raina,
      Bas sang mere chalti rehna,
Oh janejana phir tum yaad aaye!
Teri baatein phir mujhe hansaye!!
      Teri aankhon ki gehrai bechain kar jaye,
      Har pal tere kareeb laye,
      Woh sindur rupi zindagi dena,
      Yun pyaar ka izhaar karna,
      Woh meethe meethe sapne sajana,
Oh janejana tum kyun yaad aaye,
Kyun teri baatein mujhe sataye,
Kabhi hansaye kabhi rulaye,
Aaj phir tum bahut yaad aaye!!

Muddat Ke Baad ...........

Bade muddat ke baad, Dil kiya kuchh likhne ko,
Na jane kyun aaj, Dhadkan ne kaha kuchh kehne ko,
Parantu!! Na jane tum kuchh sun paoge!
Mere dil ki aah samajh paoge!!


In kale badalon ke sahare,
Kehna hai mujhe tumse kuchh!
In lal sinduri ghataon ke sang,
Batana hai tumse kuchh!
Par kash tum mere paas hote,
Kash mai khud tumhe bata sakti,
Aur apne paas tumhe baitha,
Apne dil ki dastaan suna pati!
Kash ki tum hote, Mai hoti aur,
Yeh lal sinduri ghatayein hote,
Aur in dhalte sham ke sang,
Hum is dunia se bekhabar,
Kho jate bas ek duje sang,
Aur ek duje ka hath thame,
Pariyon ki dunia mei chale jate,
Jahan sirf pyar hi pyar hota,
Mai hoti, Tum hote aur yeh,
Hamare sapne sach hote,
Hum is jahan ke pyar mei kho jate!


        Ha ..... Kehna toh hai aur bhi kuchh,
        Kyunki barso baad aaj,
        Mere dil ne ek sapna dekha,
        Na jane kyun aaj kaha,
        Tumse kuchh kehne ko, kuchh batane ko,
        Bade muddat ke baad Dil kiya kuchh likhne ko!!!

Tuesday, February 14, 2012

Jawaab.....??

Shaant, Har koi shaant,
Charon ore khamoshi, Har koi hai khamosh,
Yeh raat, Yeh pal, Aur meri zindagi,
Aur isme mera ek sawaal,
Koi de sakta hai iska jawaab?
Aakhir kyu, Yeh chand, Yeh raat,
Aur yeh pyare chamkile taare,
Aaj itne shaant kyu hain,
In khamoshi ke beech ek mera man hi toh hai,
jo shaant nahi bechain hai,
Kya mai janti hun iska jawaab?
Shayad nahi, Mai nahi janti,
Mai padesan hun apne aap se,
Ulajh gayi hun apne uljhano mei,
Kya koi nahi aayega,
Mujhe batane, Mera jawaab dene,
Koi toh hoga jo janta ho,
Par kaun hai kahan hai?
Uff!!! Phir ek sawaal,
Sirf sawaal hi toh hai mere paas,
Aur jawaan na jane kahan hai,
Aur jane kab milega,
Milega bhi ya nahi, Koi nahi janta,
Na jane kab tak mera mann,
In uljhano mei uljha rahega,
Aur yeh khamosh pal mujhe chidhata rahega,
Na jane kab milega mujhe mera jawaab??

Monday, February 13, 2012

Tanhai...........

Kal jab mai udaas baithi thi,
Na jane kiski aahat si hui,
Ek alag sa ehsaas hua,
Mai chaunk kar pichhe mudi,
Par yeh kya... Yaha toh koi nahi hai,
Mai ghabra gayi, saham gayi,
Aur idhar udhar dekhne lagi,
Tabhi mere ander se ek awaj aayi,
Tu kise dhoondh rahi hai,
Kiski raah tak rahi hai,
Kiske intezaar mei udaas baithi hai,
Jo ki tera hai hi nahi,
Jab saya tera na hua,
Toh parayon ka itezaar kyu,
Kyu kisi ke intezaar mei aansu tham nahi rahe,
Tabhi maine apne mann ko samjhaya,
Nahi aur koi na sahi,
Yeh sham aur iski tanhai toh meri hai,
Yeh akeli udaas shaam toh apni hai,
Mai isi mei apni khushi dhoondhungi,
Mai toh bas iski hi raah takungi,
Jab bhi mera man udaas hoga,
Mai shaam se milungi,
Aur is tanha shaam ke sath,
Apni tanhai baatungi,
Aur koi na sahi yeh shaam toh meri hai,
Mai iske hi sahare reh lungi,
Yeh shaam toh mere pyare waqt ka sabut hai,
Isne toh woh sare pal dekhen hai,
Use mehsoos kiya hai,
Phir mai kyu na ise apna kahun,
Yehi toh hai jisne ab tak,
Sath diya hai mera,
Yehi toh hai bas meri apni,
Meri shaam pyari shaam.......